Monday 31 October 2016

TRUST ON GOD / BHAGWAN PAR BHAROSA

Wo baitha bhagwan bharose bhagwan baithe uske bharose....subah ka samay tha wo baitha ki bhagwan sab kr dinge...sab thik ho jaega...bhagwan bhi baithe hain wo ayega mandir saf karega...diya me tel dalega baati jalaega...kuch bhog lagaega, kuch mantra padega.....bas ye hi chal ra hai...


 K. C. Nayal 

Saturday 22 October 2016

SATISFACTION Vs UNSATISFACTION / SANTUSTHI AUR SANGHARSH

Asantosh avishkar ka janak hai...jab tak apme asantushti hai ap kam kringe aur unnati ki taraf agrasar hoge..kam bdate jaoge aur jahan santushti ho gayi wahin bat khatam....but santosam param sukham bhi hai aur fir kehte hain na sai itna dijiye ja me kutumb samaye me bhi bhuka na rahun sadhu na bhuka jaye....kul mila k santushti aur asantushti ko parallel rakhna chahiye....asantushti paresani aur torchure ka rup lene lagti hai to santushti ki chadar urana avasyak hai aur jab santusti alasya aur pramad ka nirman krne lage to asantushti ki chadar avasyak ho jati hai...
 K. C. Nayal 

Mystery Of Life/ Jeevan Ka Rahasya

Manusya jeevan ko kaatna bhi aasan nahi hai….hamare vidvan purvajo ne ish bat ka anklan kiya aur niskarsh nikala Ki manusya ko busy kr diya jaye….pehle ushe padai me vyasth kr den fir shadi shuda jindagi me fir bachcho ka palan poshan krne me aur ant me bhagwat bhajan me…samay katne ke liye kya kya nahi bana diya…manusya ko khush bhi krna hai aur dukhi bhi…rishto me bandh ke….taking manusya ye bhul jaye Ki ant me to mujhe bhi Jana hi hai….lifespan nikalne k liye kai sare tarique bana diye….Jo inme se Kisi bhi niyam k viprit chalta hai sachmuch ya to samay katna bara muskil ho jata hai ya koi parivartan hi le aata hai….
Haan to main mandir gaya…main akela bhagwan ka bhakht, jogi bhagat….maine ushe kaha ki ab jab janm de diya hai to mera ye kam kr dena bada kasht aa gaya hai mujhe…mr. sharma mere opposite the…kisi ek ko to kasht aana hi tha…kam hi kuch aesa tha…mr. sharma achche khase grahst manusya…shadi shuda…do bachcho k pita….jindagi ka anand le rahe…aur fir unki wife bhi to achchi khasi position par hai…thoda dukh jhel linge to jada fark nahi padega….aur meri to halat hi kharab ho jaegi….me hua jogi bhagat…
Result aaya sharma ji pass main fail?? Din rat puja main krun, yagya, havan, mantra siddhi aur kam bhi mera sharma ji se achcha  aur jada mehnati aur talented bhi….ankhirkar gussa aana tha…pahunch gaye mandir bhagwan ko sunane….jyadatar aashtik logon ki purani aadat hai ye to….safalta me yad aaye na aaye vifalta me dialogue jarur sunate hain bhagwan ko…puch hi liya maine aesa atyachar kyun, wo bhi mere sath…kuch uttar nahi mila…
Kuch der baitha raha mandir k pas…bhikariyon ki ek toli pass me dikhi…gaur kiya to kya dekhta hun…baba log hain bhagwe vastra me, kuch aurate apne chote bachcho k sath, paise to jyada the nahi…fir bhi ush bachche ko dekhkar man nahi mana…halanki uske pas pehle se thode paise katori me the…aur sab ushi ko paise de re the…maine bhi ushe hi diya…babaji ko dekhkar khyal aaya hatte katte jawaan hai khud bhi kuch kam kr skte hain…
Bas nikal hi raha tha mandir se ki kisi bhakt ne ghanti baja di aur sath mere dimag ki jo ghantiyan subd padi thi wo bhi baj gayi…aur yahi to tera nyay hai parmeshwar…aese hi to answer dete hain bhagwan…a re bhai hum to jogi hain, hum asafal hunge to dukh hamara aur safal hue to sukh hamara…aur uske bad bhi hum khud kuch kr skte hain…lekin sharma ji to grahsti wale hain…wo asafal hue to puri family dukhi hogi…unke do bachche bhi…aur safal hue to puri family sukhi hogi….bas fir kya tha chal diye sharma ji ko congratulate krne……
 K. C. Nayal