Manusya jeevan ko kaatna bhi aasan nahi hai….hamare vidvan purvajo ne
ish bat ka anklan kiya aur niskarsh nikala Ki manusya ko busy kr diya
jaye….pehle ushe padai me vyasth kr den fir shadi shuda jindagi me fir
bachcho ka palan poshan krne me aur ant me bhagwat bhajan me…samay katne
ke liye kya kya nahi bana diya…manusya ko khush bhi krna hai aur dukhi
bhi…rishto me bandh ke….taking manusya ye bhul jaye Ki ant me to mujhe
bhi Jana hi hai….lifespan nikalne k liye kai sare tarique bana diye….Jo
inme se Kisi bhi niyam k viprit chalta hai sachmuch ya to samay katna
bara muskil ho jata hai ya koi parivartan hi le aata hai….
Haan to main mandir gaya…main akela bhagwan ka bhakht, jogi bhagat….maine ushe kaha ki ab jab janm de diya hai to mera ye kam kr dena bada kasht aa gaya hai mujhe…mr. sharma mere opposite the…kisi ek ko to kasht aana hi tha…kam hi kuch aesa tha…mr. sharma achche khase grahst manusya…shadi shuda…do bachcho k pita….jindagi ka anand le rahe…aur fir unki wife bhi to achchi khasi position par hai…thoda dukh jhel linge to jada fark nahi padega….aur meri to halat hi kharab ho jaegi….me hua jogi bhagat…
Result aaya sharma ji pass main fail?? Din rat puja main krun, yagya, havan, mantra siddhi aur kam bhi mera sharma ji se achcha aur jada mehnati aur talented bhi….ankhirkar gussa aana tha…pahunch gaye mandir bhagwan ko sunane….jyadatar aashtik logon ki purani aadat hai ye to….safalta me yad aaye na aaye vifalta me dialogue jarur sunate hain bhagwan ko…puch hi liya maine aesa atyachar kyun, wo bhi mere sath…kuch uttar nahi mila…
Kuch der baitha raha mandir k pas…bhikariyon ki ek toli pass me dikhi…gaur kiya to kya dekhta hun…baba log hain bhagwe vastra me, kuch aurate apne chote bachcho k sath, paise to jyada the nahi…fir bhi ush bachche ko dekhkar man nahi mana…halanki uske pas pehle se thode paise katori me the…aur sab ushi ko paise de re the…maine bhi ushe hi diya…babaji ko dekhkar khyal aaya hatte katte jawaan hai khud bhi kuch kam kr skte hain…
Bas nikal hi raha tha mandir se ki kisi bhakt ne ghanti baja di aur sath mere dimag ki jo ghantiyan subd padi thi wo bhi baj gayi…aur yahi to tera nyay hai parmeshwar…aese hi to answer dete hain bhagwan…a re bhai hum to jogi hain, hum asafal hunge to dukh hamara aur safal hue to sukh hamara…aur uske bad bhi hum khud kuch kr skte hain…lekin sharma ji to grahsti wale hain…wo asafal hue to puri family dukhi hogi…unke do bachche bhi…aur safal hue to puri family sukhi hogi….bas fir kya tha chal diye sharma ji ko congratulate krne……
K. C. Nayal

No comments:
Post a Comment