Sunday 13 November 2016

RESPECT IN SOCIETY - A FAKENESS



In human life every person wears an imaginary, self-made blanket of respect always. That I can do this, I can do that. I am the ruler etc. And suddenly someone comes and disrespects us or not provides us that much respect we have declared for our self. What happens? Our blanket is damaged. Similarly as a glass breaks, the blanket is broken. And that broken blanket is termed as disrespect.




Matlab me sab chor dun bageshwar me Bagnath ji k mandir k niche hamesha samshan ghat me chitayen jalti dikhti hain wo batati hain nayal sahab samshan wo sthan hai jahan sabki saan barabar ho jati hai. Iska tatparya ye nahi ki baba ban jao....... Bhagwan bhi uski pehle sunte hain jisse kai log jude hon kyunki utno ki taraf se praise krta hai na wo......... ye baba log jinka apna koi pariwar nahi inko to leisure time me niptate hain god bhi..............


 K. C. Nayal 

Monday 7 November 2016

CALCULATING RESPECT/SAMMAN KA MULYANKAN

Manviya mastishk ki chanchalta ki koi sima nahi Jab dekho jahan dekho chala jata hai... Hamare neurons me nerve impulse 450km ki raftar se chalti hai aur vichar isse bhi kai guna jyada teji se uttpann hote hain...
Sahab bhi kya kya sochte rehte hain sir hamari itni ijjat hai ishe bacha k rakhna hai... Kya nahi kr dala unhone samman ki raksha krne me... Aur fir ek din nayal sahab ko Mil gaye aur bole sir bahut pareshan hun... Humne samasya jani to pta chala ki Bachcho ne bahut pareshan kr diya sari ijjat mitti me mila Di kitni muskil se bacha k rakhi thi.. .. Humne kaha sahab apki chinta ka pehle karan to ye hai jiska koi astitva hi nahi ap uski chinta krte hain... Ye ijjat ap k ish duniya se Jane k bad apko kahin nahi milegi ye yahin uttpann hui thi yahin samapt ho jaegi.... Aur dusra karan ye hai ki ap barane ki nahi bachane ki sochte hain... A re sahab agar apki ijjat 70% hai aur ap ush 70%ko bachaya rakhinge to kabhi na kabhi wo kam ho hi jaegi... Agar koi ushe gira kr 50% kr ra hai to ap chinta kyun krte hain ap ushe bara kr 100% kr dijiyega fir 20%gir bhi gayi to 80% tab bhi Bach jaegi aur net milake 10%ka profit hi hoga apko... Isliye ap apne Bachcho ko Un chizo me rokna chor dijiye jisse apki respect kam ho rahi hai.... Un chizo me provoke kijiye jinne apki respect barti ho. Bachcho ki to adat hi hoti hai jis kam ko na kaho ushe hi karinge....... 
K. C. Nayal

SONAGACHI (WEST BENGAL) REALITY


SONAGACHI WEST BENGAL

I was reading an interview of a prostitute in sonagachi West Bengal which is the top most prostitution area in south Asia. I don't know what to do. I was shocked. There are 7 to thirteen year small baby girls who are transported from Bangladesh to this place in a fake commitment that they are taken to live a good life like other people and they will be married to a handsome groom to live their whole life happily.

She told that when she reached sona gachi she was mere 11 year old. She was bought at a rate of 120 Rs from her Guardians and was going to be served to someone like a chicken in market. When she got to know about that she tried to run away from that place but there was no way out. By any means she came out from the lodge and she saw some policeman to whom she asked for help. The policeman promised to help her and took her with him. He gang raped her with 3 of his friends. And now she is in that vicious circle.

Poverty and insecurity and the criminals who are Policemen nowadays have created such a place in this lovely earth which has crossed all boundaries of harassment. Injustice in the land of Sonagachi is known across the world. But nobody is going to take definite measures.

Yet there are some Non-Governmental Organizations which are working to stop this human trafficking. But the question is that what has happened to westbengal administration? It’s hard to say that air of justice will flow across sonagachi area.

Making rules is easy as compared to implementing them. Government has made certain rules in woman protection but what about the implementation. The dark side of the world is still in modern India and still we have no plan or idea to eliminate this curse from the head of those girls. We even can't ban it as on one side we have no job for literate and talented intellectuals in society nowadays. So what we can do for those 13000 sex workers across that village? What job we can generate for them? And which place we can secure for them in this modern society? Poverty and Population explosion are also two of the main causes of such sins.

Government must implement strict rules to control the Population of India. But it still needs majority to pass such bill in Parliament and our Parliament itself is polluted by certain antisocial elements who will never allow such change.

No matter to take tension about that there will be day in Indian History when this Constitution will be changed. Because it needs a tonne of amendment and conversion in the growing INDIA.

Or as far as concerned there was a time of Kings in India. Nobody had thought that Rajput’s will be replaced by Sultans. And Sultanas had never thought that British Empire will come in its place. Also British Government has never thought that a Democratic India will come in to existence. Today also these political leaders are not thinking but a new INDIA is growing day by day and the day will come which will break all previous chains and laid the foundation of a new society with new laws new customs and new norms. And there will be a day when the goddess of justice will swim across INDIA. And there will be a day.

Thank You.

 Kalicharan Nayal 

Monday 31 October 2016

TRUST ON GOD / BHAGWAN PAR BHAROSA

Wo baitha bhagwan bharose bhagwan baithe uske bharose....subah ka samay tha wo baitha ki bhagwan sab kr dinge...sab thik ho jaega...bhagwan bhi baithe hain wo ayega mandir saf karega...diya me tel dalega baati jalaega...kuch bhog lagaega, kuch mantra padega.....bas ye hi chal ra hai...


 K. C. Nayal 

Saturday 22 October 2016

SATISFACTION Vs UNSATISFACTION / SANTUSTHI AUR SANGHARSH

Asantosh avishkar ka janak hai...jab tak apme asantushti hai ap kam kringe aur unnati ki taraf agrasar hoge..kam bdate jaoge aur jahan santushti ho gayi wahin bat khatam....but santosam param sukham bhi hai aur fir kehte hain na sai itna dijiye ja me kutumb samaye me bhi bhuka na rahun sadhu na bhuka jaye....kul mila k santushti aur asantushti ko parallel rakhna chahiye....asantushti paresani aur torchure ka rup lene lagti hai to santushti ki chadar urana avasyak hai aur jab santusti alasya aur pramad ka nirman krne lage to asantushti ki chadar avasyak ho jati hai...
 K. C. Nayal 

Mystery Of Life/ Jeevan Ka Rahasya

Manusya jeevan ko kaatna bhi aasan nahi hai….hamare vidvan purvajo ne ish bat ka anklan kiya aur niskarsh nikala Ki manusya ko busy kr diya jaye….pehle ushe padai me vyasth kr den fir shadi shuda jindagi me fir bachcho ka palan poshan krne me aur ant me bhagwat bhajan me…samay katne ke liye kya kya nahi bana diya…manusya ko khush bhi krna hai aur dukhi bhi…rishto me bandh ke….taking manusya ye bhul jaye Ki ant me to mujhe bhi Jana hi hai….lifespan nikalne k liye kai sare tarique bana diye….Jo inme se Kisi bhi niyam k viprit chalta hai sachmuch ya to samay katna bara muskil ho jata hai ya koi parivartan hi le aata hai….
Haan to main mandir gaya…main akela bhagwan ka bhakht, jogi bhagat….maine ushe kaha ki ab jab janm de diya hai to mera ye kam kr dena bada kasht aa gaya hai mujhe…mr. sharma mere opposite the…kisi ek ko to kasht aana hi tha…kam hi kuch aesa tha…mr. sharma achche khase grahst manusya…shadi shuda…do bachcho k pita….jindagi ka anand le rahe…aur fir unki wife bhi to achchi khasi position par hai…thoda dukh jhel linge to jada fark nahi padega….aur meri to halat hi kharab ho jaegi….me hua jogi bhagat…
Result aaya sharma ji pass main fail?? Din rat puja main krun, yagya, havan, mantra siddhi aur kam bhi mera sharma ji se achcha  aur jada mehnati aur talented bhi….ankhirkar gussa aana tha…pahunch gaye mandir bhagwan ko sunane….jyadatar aashtik logon ki purani aadat hai ye to….safalta me yad aaye na aaye vifalta me dialogue jarur sunate hain bhagwan ko…puch hi liya maine aesa atyachar kyun, wo bhi mere sath…kuch uttar nahi mila…
Kuch der baitha raha mandir k pas…bhikariyon ki ek toli pass me dikhi…gaur kiya to kya dekhta hun…baba log hain bhagwe vastra me, kuch aurate apne chote bachcho k sath, paise to jyada the nahi…fir bhi ush bachche ko dekhkar man nahi mana…halanki uske pas pehle se thode paise katori me the…aur sab ushi ko paise de re the…maine bhi ushe hi diya…babaji ko dekhkar khyal aaya hatte katte jawaan hai khud bhi kuch kam kr skte hain…
Bas nikal hi raha tha mandir se ki kisi bhakt ne ghanti baja di aur sath mere dimag ki jo ghantiyan subd padi thi wo bhi baj gayi…aur yahi to tera nyay hai parmeshwar…aese hi to answer dete hain bhagwan…a re bhai hum to jogi hain, hum asafal hunge to dukh hamara aur safal hue to sukh hamara…aur uske bad bhi hum khud kuch kr skte hain…lekin sharma ji to grahsti wale hain…wo asafal hue to puri family dukhi hogi…unke do bachche bhi…aur safal hue to puri family sukhi hogi….bas fir kya tha chal diye sharma ji ko congratulate krne……
 K. C. Nayal